yunhi be sabab na phira karo,
koi shaam ghar bhi raha karo
woh ghazal ki sachi kitaab hai,
isa chupke chupke parha karo
koi hath bhi na milaay gaa ,
jo gale miloo ge tapak se
ye naye mizaj ka shaher hai,
zara fasle se mila karo
abhi rah main kai morh hain ,
koi aay ga koi jaay gaa
tumhain jis ne dil se bhula diya,
use bholne ki dua karo
mujhe ishtihar si lagtee hain,
ye mohabbaton ki kahaniyan
jo kaha nahi woh suna karo,
jo suna nahi woh kaha karo
kabhi husan parda nasheen bhi ho,
zara ashqana libaas main
jo main ban sawar kay kahein chaloon,
mere sath tum bhi chala karo
nahi be hijab woh chand sa,
ke nazar ka koi asar na ho
ise itne garme-e-shoq say baree
der tak na taka karo
ye khizan ki zard si shaam main,
jo udaas perh kay paas hai
ye tumhare ghar ki bahaar hai ,
ise ansoouon se hara karo....
Please Do Click g+1 Button below If You Liked The Post & Share It