Tarq-e-taaluqaat pe… roya na tu, na main
Lekin ke yeh kya chain se soya na tu, na main
Wo humsafar thaa magar us sey humnawai na thi…
K dhoop chhaon ka alam raha, judaai na thi.
Adaavatein theen… Taghaaful thaa… Ranjishein theen Magar
Bicharne walay main sab kuch thaa Bewafai na thi…
K dhoop chhaon ka alam raha, judaai na thi.
Kajal Daron, Kurkura Surma Saha Na Jaye,
Jin nain mein pi basay, dooja kon samaye
Beecharte waqt un ankhon mein, theeee hamari ghazal
Ghazal bi wo jo, kisi ko, kabhi sunaai na thi.
K dhoop chhaon ka alam raha, judaai na thi.
Wo humsafar thaa… haaan
Wo humsafar thaa…
Please Do Click g+1 Button below If You Liked The Post & Share It